Featured Post

Volunteer or Apply for Teacher Fellowship

Volunteer or Apply for Teacher Fellowship at Adharshila Learning Centre for the session 2017 – 18 Beginning October-2017 We ...

Wednesday, December 5, 2007

Math Vaato Insaan ko

We in Adharshila sing songs every day morning when we assemble for the school to start & also when we disperse. This is one of them. This song was composed about 18 years back by Vinay Mahajan. In the spirit & the hope for a secular future for our children..........

Math vaato Insaan ko


mandir masjid, girjadhar ne, vaat liya bhagwan ko
dharti vaati, sagar vaata, mat vaato Insaan ko

Hindu kehta mandir mera, mandir mera dhaam hai
Muslim kehta mecca mera, Allah ka imaan hai
dono ladte, lad lad marte, ladte ladte khatham huye
dono' ne ek duje pe na jane kya kya julam kiye
kiska he yeh maksad, kiski chaal chaal hai yeh jaan lo
dhart vaati.....

Neta ne satta ki khatir, komvaad se kaam liya
dharam ke thekedar se milkar logon ko nakaam kiya
bhai bante thukade-thukade mai neta ka hai imaan bada
vote mile aur neta jeeta shoshan ko adhaar mila
vakth naahi beeta hai ab bhi vakth ki kimat jaan lo
dhart vaati......

Prajatantre me praja ko loote, kaisi yeh sarkar hai
laati, goli, ishwar, allah yeh saare hathiyar hai
milke raho aur inse lado tum, inse ladna sheek lo
hakk hai tumhara chaiin se jeena, apne hakk ko jeeth lo
agar ho thang shaitani se tho, khatam karo shaitan ko
dharti vaati.......

desh ki janata bhook se marti dekho brastachar yeh
berojgari, tekedari, mahagai ki maar yeh
dharam, dharam chilane vaale, khoon bahayi desh me
shaitanano dere dale insaanonoko besh me
kaise kahenge saare jahan se accha hindustan ko
dharti vaati......

0 comments :